Best view: Rotate device
 
Eid-e-Nabvi ka zamanah aa gaya
lab peh khushiyon ka tharana aa gaya
har sitarey ko mili hai roshani
har kali ko muskurana aa gaya
har tharaf Salle ala ki dhoom hai
wajd mein sara zamana aa gaya
parcham deen Muhammad ho buland
kafir ko gardan jukana aa gaya
kyun na ho qismat key maron
paas rehmat ka khazana aa gaya
Aaj chamkado dar-o-deewar ko
aashiqon ka din suhana aa gaya
Shaad hunton peh hai naat Mustafa 
haath bakhshish ka bahanah aa gaya
    
    
    
 
Views: 2129    
       
    
        Listen to MIS Radio:
        
    
    
           

Like The App? 
Post a review!