Best view: Rotate device
 
Zeenato sajda-o bazme qazaa milta nahein
Lale yakta-e-shahe ahmed raza milta nahein 
Wo jo apne dor ka sadeeq tha milta nahein
Mahrame raaze muhammad mustafa milta nahein 
Ab chiraaghe dil jalaakar hosake to dhondiye
Partawe ghaus-o raza-o mustafa miltaa nahein 
Aalime sozdaroon kis se kahoon kis se kahoon
Chaara saaze darde dil darde aashinaa milta nahein 
Aalimo ka muatabar wo peshawaa milta nahein
Jo mujassam ilm tha wo kya huwa milta nahein 
Zaahido ka wo mussallam muqtadaa milta nahein
Jispe naazaa zaahid tha wo paarsaa milta nahein 
Faro afraade zamaan wa Shayhk ash shayake jahaan
Kaamilaane dehr kaawo muntaha milta nahein 
Istiqaamat kaawo koha muhkamo baala tere
Jiske jaane se zamaana hilgayaa milta nahein 
Chaariyaaro ki adaa-e jisme te jalwanuma
Chaariyaro ka wo roshan aaina milta nahein 
Ekh shaake ghul nahi saraa chaman? Andogheen
Mustafa ka andaleebe khushnawa milta nahein 
Mufti-e-azam ka zarra kya banaa akthar raza
Mehfil-e anjum me akhtar doosraa milta nahein
    
    
    
 
Views: 2407    
       
    
        Listen to MIS Radio:
        
    
    
           

Like The App? 
Post a review!