Connected to database. Category load error - contact developer: info@mis-productions.co.uk Naat Lyrics


NEW APP BY MIS
Daily Deeds


  • Method of Tayammum, Ghusl, Whudu, Janazah, Daily Duas, Sunnahs and more! -
    CLICK ABOVE ICON

    Best view: Rotate device


    Aie reniyali shab qadr, aie maah e ramzan alwada
    Giryahein furqat say jigar, aie mahe ramzan al wada.

    Aankhoon say ab aanso bahein yeh dard hum kisko kahein
    Tujh kaarni rotay rahein, aie mah e ramzan al wada.

    Tu kuuch ka mara kabal, mujh sar para gham ka jabal
    Yeh dukh kahoon kiskay agar, aie mah e ramadan al wada.

    Kiya tha mubarak maah tu, saray baras ka shah tu
    Rab ki dikhayi raah tu, aye maah e ramzaan alwada.

    Tu aaye ga under jahan, hum howein gay shayad kahan
    Bhetar qabr ya jagh mein aa, aye maah e ramdaan al vada.

    Dil ka meray sultan tu, mujh per kiya ehsaan tu
    Din tees ka mehman tu, aye maah e ramazan alwada.

    Muj dil mein tera dard hai, tujh kaarni rukh zard hai
    Tan lagha ro dam sard hai, aye maah e ramzan alwada.

    Roshan hoyi thi masjida, kush tar bhichaye masnada
    Qur'an parhtay hafiza, aye maah e ramzan alwada.

    Ummat bhiter bheja tujhay, dozakh agan tujhsay bujhay
    Taqwa hai tujh upper mujhay, aye maah e ramzaan alvida.

    Rozay say mukh per noor hay, tan kahili say dur hai
    Dil sabr say mamoor hai, aye maah e ramzaan al vida.

    Tha deen ka tujh mein maza, tu ho chala hum say juda
    Sab momina tujh per fida, aye maah e ramzaan alvada.

    Jab mah giyara jayein gay, ramzan mubarak aayein gay
    Jinkay naseeb woh payein gay, aye maah e ramzaan alwada.

    Suna huwa sansar sabh, baaki rahein din char abh
    Baihosh ho kehtay hain sabh, aye maah e ramzaan alwada.

    Hum tujh bina ab tal malein, teri muhabbat mein galay
    Jeetay rahein to phir milein, aye maah e ramadaan alvada.

    Tan beeich hairani ahay, aankhoon say nit pani bahay
    Ro ro Yatimala kahay, aie mah e ramzaan alvada.





    *** Like The App? ***- Please post a review


    Views: 1595

    New Naat Translation

  • Eik Mein Hi Nahi Un Par, Qurban Zamana

    Knowledgewise By MIS

  • Search 'Knowledgewise' on Google podcasts, Apple podcasts or Spotify